Letras Web

Re Mama

Sunidhi Chauhan

2 acessos

Hey, you and me met, remember?

Dekho yeh deewana maara gaya
Sheeshe mein dil ke utaara gaya
Haan, dekho yeh deewana maara gaya
Sheeshe mein dil ke utaara gaya
Kiski nigaahon mein yeh bas gaya
Jaake bechaara kahan phas gaya
Pyaar hua na, ay ay, re mama
Dil to gaya na, haan haan, re mama
Haan pyaar hua na, ay ay, re mama
Haan dil to gaya na, re mama

Naadaan hai tu na tujhko khabar hai
Aasaan nahin yeh dil ka safar hai
Mushkil badi hai yeh chaahat ki raahein
Jeene na dengi yeh kamsin adaayein
Zulfon ke saaye se bachke nikal
Paagal anaari mere saath chal
Dilbar nahin kaam hai yeh tera
Tu maan le ab to kehna mera
Pyaar hua na, ay ay, re mama
Haan dil to gaya na, re mama
Pyaar hua na, re mama
Dil to gaya na, haan haan, re mama

Mere labon pe hai teri kahaani
Tere liye hai yeh meri jawaani
Kya keh rahi hai yeh rangeen raatein
Aaja kare milke chaahat ki baatein
Yun mujhse daaman chhudaake na jaa
Aise tu nazrein bachaake na jaa
Taubaa meri tu kahan kho gaya
Mere sanam, tujhko kya ho gaya
Pyaar hua na, re mama
Dil to gaya na, re mama
Pyaar hua na, ay ay, re mama
Dil to gaya na, re mama
Dekho yeh deewana maara gaya
Sheeshe mein dil ke utaara gaya
Kiski nigaahon mein yeh bas gaya
Jaake bechaara kahan phas gaya
Pyaar hua na, ay ay, re mama
Dil to gaya na, haan, re mama
Pyaar hua na, re mama
Dil to gaya na, re mama

Top Letras de Sunidhi Chauhan

  1. Sajna ve sajna (tradução)
  2. Aaja Nachle
  3. Mast Kalandar
  4. Beedi (tradução)
  5. Sajna ve sajna
  6. Karley Baby Dance Wance
  7. Khwab Dekhe Jhoote Moote
  8. Tum Mile Jaane Dil Ko Mere Kya Hua
  9. Koi Pather Se Na Mare
  10. Dushamana, Rehnuma, Tujhpe Hai Abb Toh Yeh Meri Jaan Nisaar