Letras Web

Tum Aa Gay Ho To

Sajjad Ali

5 acessos

Tum aa gayay ho tu kiyon
Intizar-e-shaam karain
Kaho tu kiyon na abhi se kuch ehtimam karain
Tum aa gayay ho tu kiyon intizar-e-shaam karain
..........
Kholoos-o-mehr-o-wafa
Log kar chukay hain buhat
Meray khayal main ab aur koi kaam karain
Kaho tu kiyon na abhi se kuch ehtimam karain
Tum aa gayay ho tu kiyon intizar-e-shaam karain
..........
Juda howay hain buhat log
Aik tum bhi sahi
Ab itni baat pe kiya zindagi haraam karain
Kaho tu kiyon na abhi se kuch ehtimam karain

Tum aa gayay ho tu kiyon intizar-e-shaam karain
..........
Rahay talab main jo gumnaam
Mar gayay nasir
Matayay dard unhi sathiyon ke naam karain
Kaho tu kiyon na abhi se kuch ehtimam karain
Tum aa gayay ho tu kiyon intizar-e-shaam karain
..........
Tum aa gayay ho tu kiyon
Intizar-e-shaam karain
Kaho tu kiyon na abhi se kuch ehtimam karain
Tum aa gayay ho tu kiyon intizar-e-shaam karain

Top Letras de Sajjad Ali

  1. Har Zulam Tera Yaad Hai
  2. Katna Nai
  3. Abb Ke Hum
  4. Pyar Hai
  5. Bolo Ali
  6. Tasveerain
  7. Paiker
  8. Bolo Bolo
  9. Pahle Saal
  10. Pekar