Letras Web

Abhi Woh Kamsin

Jagjit Singh

4 acessos

Abhi wo kamsin ubhar raha hai
Abhi hai us par shabaab aadha
Abhi jigar mein khalish hai aadhi
Abhi hai mujhpar itaab aadhaa

Mere sawaal-e-wasl par
Tum nazar jhuka kar khade huye ho
Tumhi bataao ye baat kya hai
Swaal poora jawaab aadhaa

Laga ke laare pe le toh aaya hoon
Sheikh sahaab ko maiqade tak
Agar ye do ghoont pi le
Milege mujhko sabab aadha

Kabhi sitam hai kabhi karam hai
Kabhi tawajjo kabhi tagaful
Ye saaf zaahir hai mujhse ab tak
Hua hoon main kaamyaab aadhaa

Top Letras de Jagjit Singh

  1. Apna Gham
  2. Aye Khuda Ret Ke
  3. Ab Toh Mere Khuda
  4. Aankhon Se Yun Aansoo
  5. Aao mil jaaye ham
  6. Chitthi Na Koi Sandesh
  7. Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyun
  8. Chiraag Dil Ke Jalaao
  9. Jabse qareeb ho ke chale (2)
  10. Koi yeh kaise bataye ke