Letras Web

Na Hai Zameen Na Aasman

Sadhana Sargam

40 acessos

sa: ( na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko ) -2
sa: chhodo hansi, baadal mein bhi, koi bhala rahta hai
a: a dekh le in aankhon se, deevaana sach kahta hai
sa: na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko

sa: teri is nagri mein, kaise raste hain en
a: pair sitaaron par rakhkar chalte hain en
sa: teri is nagri mein, kaise raste hain en
a: pair sitaaron par rakhkar chalte hain
sa: ik taara vo chalta hai jo, de do mujhe vo nagina
a: ab chaand hai bindiya teri, soorat tera aaina

sa: na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko

sa: pyaar ke ye do pal, hamko gheren hain en
a: dhundhle ujaale hain en en, ujle andhere hain en
sa: pyaar ke ye do pal, hamko gheren hain en
a: dhundhle ujaale hain, ujle andhere hain
sa: ye pyaar ke baadal ghane kal ko pighal jaayen to
a: sun ai hasin ham vo nahin, ik din badal jaayen jo
sa: na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko
sa: chhodo hansi, baadal mein bhi, koi bhala rahta hai
a: a dekh le in aankhon se, deevaana sach kahta hai

sa: ( hun hun hun hun
a: hun hun ) -2
sa: la la la la la, la-la-la
a: ( hun hun hun hun
sa: hun hun ) -2
both: la la la la la, la-la-la

Top Letras de Sadhana Sargam

  1. Na Hai Zameen Na Aasman
  2. Na Quraan Hai Padhi
  3. Chain Aap Ko Mila Mujhe Deewangee Mili
  4. Sach Hai Sanam
  5. Aap Ye Soch Ke Milate Huye Ghabaraate Hain
  6. Bin Saajan Jhoola Jhuloon
  7. Chanda re chanda re 2
  8. Teri Panaah Mein Hamein Rakhana
  9. Chaand Dekha Yaad Aayi Suurat Teri
  10. Iss Mele Mein Log Aate Hain