Letras Web

Mera Sundar Sapna Beet Gaya

Geeta Dutt

8 acessos

era sundar sapna beet gaya
main prem mein sab kuchh har gayi
bedard zamaana jeet gaya
mera sundar sapna beet gaya

(kyun kali badariya chaayi hai
kyun kali kali muskayi hai) 2
meri prem kahani khatm hui
mere jeewan ka sangeet gaya
mera sundar sapna beet gaya

(o, chod ke jaanewale aa
dil tod ke jaanewale aa) 2
aankhen aansuan mein doob gayi, doob gayi
aankhen aansuan mein doob gayi
hansne ka zamaana beet gaya
mera sundar sapna beet gaya

(har raat meri diwali thi
main piya ki hone wali thi) 2
is jeewan ko ab aag lage, aag lage
is jeewan ko ab aag lage
mujhe chodke jeewan meet gaya
mera sundar sapna beet gaya
main prem mein sab kuchh har gayi
bedard zamaana jeet gaya
mera sundar sapna beet gaya ...

Top Letras de Geeta Dutt

  1. Tadbeer se bigadi huwi
  2. Aankhon Mein Tum
  3. Tadbeer Se Bigdi Hui
  4. Kaise Koi Jiye
  5. Ek Tum Duji Main
  6. Aankhon Mein Tum Ho 2
  7. Mera Sundar Sapna Beet Gaya
  8. Udhar Tum Haseen Ho
  9. Koi Door Se Aawaaj de
  10. Do Naina Tumhaare