Letras Web

Mai Yaha Too Waha

Alka Yagnik

8 acessos

Mai yaha too waha, jindagi hai kaha
too hi too hai sanam dekhta hu jaha
nind aati nahi yad jati nahi, bin tere abb jiya jaye naa
mai yaha too waha, jindagi hai kaha

waqt jaise thehar gaya hai yahi, har taraf ek ajab udasi hai
bekarari kaa aisa aalam hai, jism tanha hai ruh pyasi hai

teree surat abb ek pal kyun najar se hatati nahi
rat din toh kat jate hain, umrr tanhaa katati nahi
chah ke bhi naa kuchh kah saku tujhse mai, dard kaise karu mai baya
mai yaha too waha, jindagi hai kaha

jab kahi bhi aahat huyi, yu laga ke too aa gaya
khushbu ke jhonke ki tarah meree sanse mahka gaya
ek woh daur tha, ham sada pas the, abb toh hain fasle darmiya
mai yaha too waha, jindagi hai kaha

biti bate yad aati hain, jab akela hota hu mai
bolti hain khaamoshiya, sabse chhupke rota hu mai
ek aarsa huwa muskuraye huye, aansuo me dhali dastan
mai yaha too waha, jindagi hai kaha
too hi too hai sanam dekhta hu jaha
nind aati nahi, yad jati nahi, bin tere abb jiya jaye naa

Top Letras de Alka Yagnik

  1. Salaam (tradução)
  2. Zindagi Ek Ajab Mod Pe
  3. Bechain Mera Yeh Dil Hai
  4. Aashiq Mujhe Aashiq Tune Banaya
  5. Chhoti Si Pyari Si Nanhi Si
  6. Arey Mar Gaye Mar Gaye Phokat Me Ham
  7. Jaana Nahin Tha
  8. Yaar Mat Ja Ke Meri Baat Abhi Baaki Hai
  9. Pehle Pehel (tradução)
  10. Samajhkar Chand Jisko Aasman Ne