Letras Web

Aaj Ki Raat

A. R. Rahman

2 acessos

Shaam hai, jaam hai, aur hai nasha
Tan bhi hai man bhi hai pighla hua
Chhayi hai rangeeliyan
Phir bhi hain betabiyaan
Kyun dhadakta hai dil, kyun yeh kehta hai dil
Deewana ko ab tak nahin hai yeh pata
Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya
Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Do ghadi mein hi yahan jaane kya hoga
Jo hamesha tha mera bhi mera hoga?
Kaun kiske dil mein hai faisla hoga
Faisla hai yahi jeet hogi meri
Oh deewana ko ab tak nahin hai yeh pata
Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya
Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Aao main tumse kahoon baat chupke se
Rang badlegi pal mein raat chupke se
Tumko le jaaonga phir saath chupke se
Jaaoge tum kahan, dekho main hoon yahan
Deewana ko ab tak nahin hai yeh pata
Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya
Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Top Letras de A. R. Rahman

  1. Only You
  2. In Lamhon Ke Daaman Mein
  3. Yaro Yarodi
  4. Warriors in Peace [Hindi Version]
  5. Thai Mannai Vanakkam (Tamil)
  6. Tauba Tauba
  7. Pachai Nirame
  8. Yeh Taara Woh Taara
  9. Ringa Ringa
  10. Jai Ho